Tuesday, 25 October 2011

DIWALI....a festival of light and happiness


deep jale hai jagmag jagmag
khushiya fail rahi hai pag pag...


ujiyara fail gaya hai ghar me
aa rhiu hai khushiya jivan me....


ghar me ho laxmi ka vaas
sabka hai bas yahi prayas......


saja rahe sab apne ghar ko
manaa rahe hai sab prabhuvar ko.....


raat amavas ki hai hoti
par andhiyare ki bhanak na hoti.....


ujiyaare ki hai ye sakti
mit jaati andhiyaare ki hasti.....


HAPPY DIWALI



Sunday, 4 September 2011

aisi hi hai kashi....


Gali gali me ved dhwani har gali me hote samvad
Sankat mochan mandir me chadta rahe Prasad.

Bhole baba ajar amar hai chalo chale shri vishwanath
Kahi kachaudi ka maja to kahi chaka chak chat.

Kasha ka bharat milap hai ati vishwa vikhyat
Is man mugdhit lila ki hai ajab nirali baat.

Chetganj ki nak kataiyya ki hai kuch aisi hi baat
Ia alaukik drishya ka manchan hota aadhi raat

Yeh nahi keval 1 nagri hai,ye vibhinn sanskritiyo ki gagri hai
Kasht mitane aate log kyuki ye devo ki nagri hai

Varanasi sthith hai varuna ashi k beech
Jeevan hai ek banjar dharti upjau banakar usko seech

Paap mukt karti hai ganga,to aao le hum sab ek seekh
Paap mukt ho jae wo bhi,jo aae mere tumhaare beech.

Ye DUNIYA gol hai


Ye duniya gol haio bhaiya,ye duniya gol hai
Gundo ka hai chalta raaj,netao k bol hai.
Kyuki duniya gol hai.

Garibo ki nahi puch yha bas paise walo ka mol hai
Kyuki duniya gol hai.

Niyamo ka nhi mol yha sab jholam jhol hai
Kyuki duniya gol hai.

Neta mantri bhasan dete aur humko system samjhate
jabki system hi jhol hai….
Kyuki duniya hi gol hai.
Arey bhaiya duniya gol hai.

Sarkari school me bachhe to ate hai par sikshak hi gol hai
Kyuki duniya gol hai.
Arey bhaiya duniya gol hai.

Samajh sako tum is vyang ko to ye anmol hai nahi to ye b gol hai
kyuki duniya gol hai

SPANDAN


Jab koi tere man ko bhata
Tere tan me sihran failata
Jiski mridu bhasa k aagey
Saara nabh mandal jhukh jata
Jeevan me Deepak sa bankar
Tujhe sahi wo raah dikhta
Jab bhara ho tere dil me krundan
Bhar de usme wo spandan
Jab wahi dur ho jata hai
Dil ko badaa rulata hai
Yaade to rehti hai sangh me
Din me adhiyaara ho jata hai
Unko dil k pas rakho
Dil k andar kabhi nhi
Kyuki jab tan se ang alag hota hai
                                            Uske viyog me dil rota hai

Friday, 8 July 2011

PARENTS...The only god in real world...~!!!!~




duniya me do hi hagwan 
maa sita pita ram samaan.


inka koi na sani hai...
ye bat to jag ne maani hai


khud dhero kasht uthate hai
par humko na ye batate hai


jo najar mile hum bachho se inki
to hume dekh muskate hai...


ho maang humari badi ya choti har maang ko pura karte hai
chahe kasht utha le laakho ek choti si aah na bharte hai 


chahe hum bn jae kitne dhanwan
ya ban jae ek badi pehchan...


ek baat ka rakhenge sadaa hi dhyan
kabhi kam na ho inka samman...


kyuki is jhuthi aur matlab ki duniya me
jaha ek ore bas kalpanikta ki parchai hai


vahi dusri ore jo sachha bacha hai jag me
wo kuch aur nahi
bas maa baap ki sachhai hai........

Saturday, 18 June 2011

jeevan....our life


Meri khaomshiyo se meri sham se milo,
Ye kya miya jab bhi milo kisi kaam se milo.

Ye janta hu mil k bichad jaoge
muddat ke baad ae ho aram se milo.

Poshak si badalti hai har shakshiyat yha
Kab tak kisi se uske naam se milo.

Khamoshiyo k pas hai lafzo ki daulat
Inse milo to itminan se milo.

Sunday, 12 June 2011

corruption...



Bhrashtachaar bhrashtachaar band karo ye bhrastachaar
Anna bole bhrashtrachaar baba bole bhrashtachaar
Petrol pahuch gya 70 paar
Rasoi gas ki ho rhi hai maar
Bahut ho gya atyachaar ab band kro ye bhrashtaachaar
Suit boot me chor hazaar
Vyapar k naam pe kaala bazaar
Kar ankhe band so rhi sarkar
Dur kro tum bhrastachaar,bahut ho gya ye vyavhaar
Saara dhan saat samundar paar,is dhan pe kuch tum kro vichar
Bahut hua ab atyachar band kro ye bhrashtachaar
Rajya me bhukhe aur bimar
Hai bana rakhi murtiya(haathi) hazaar
Koi h yha  haathi pe sawaar to koi  kar rha punje se waar
Kitna kroge atyachaar ab band kro ye bhrashtaachaar
Jaag jao tum ab sarkar
Jis din janta jaag gai
Gir jaegi ye sarkar aur khatm hoga  bhrashtaachar…

-AMAN SRIVASTAVA

Wednesday, 18 May 2011

nadi ka kinara......

nadi ka kinara tha...
unka ana jana tha..

laal chunariya odhe rehti
jhuki ankho se sab kuch kehti

unki payal ki cham cham se
panchi cheh chaha jate 

unki hayaa ko dekh ke
pani me hilore aa jate

jo jhuk jati unki ankhe
din me adhiyara ho jata

jo vo halka sa muskati
samaa sugandhit ho jata

chal thi unki matwali
thi muskan badi hayaa wali

khul gai meri aankh achanak
subah bhi lagi badi bhayanak

dekh rha tha mai ek sapna suhana
jisme tha unka ana jana.

Saturday, 14 May 2011

aam ka ped....!!!!!!!

mai ek aangan k aam ka ped
lage rehte the mujhe pe aam k dher

panchiyo ne bana rakha tha dera
baanaro ka tha khub basera

deta tha mai logo ko chaav
aur wahi karte the mujhpe ghaav

jab tak hare the mere khaal
mere neeche thi lagti chaupal

jab mai thutha aam ho gya
jab mai bilkul bekaam ho gya

patto ne bhi choda saath
khade kar liye apne hath

koi na puche ab mera haal
aur na hi lagti ab yha chaupal.

Friday, 13 May 2011

.......bhagwan.......

mai bhagwan mujhe mat baato
dharm k naam pe khud ko mat baato

baatne ka tumhe shauk jo itna hai
aapas me tum sukh dukh baato

baat ke mujhe tum kya paoege
na sukh milega na mujhe hi paoge

duniya bahut badi hai pyare
jeev jantu hai nyare nyare

unke sangh tum khushiya baato
apne jeevan se dukh ko chaato

jab tak pyar rahega jag me
prabhu milenge har ek pag pe.

mrityu.....the only reality of life

mrityu hi ek param satya hai
jeevan ka bas yahi tathya hai


rote hue sab dharti pe ate
sabko rula ke fir hum chale jate


bas yaadein sath reh jati hai
ye yaadein bada satati hai


dharti pe jo koi bhi aya
sab pal do pal ke sathi hai


has lo tum ji bhar k has lo
kuch alag karo aur sabka man har lo


jab tak saase hai jeevan me
teri ek asamaan si khyati hai


varna marne k baad o sathi 
ye mrityu bada rulati hai.

Wednesday, 11 May 2011

college life...wen its about to end

beet gae college k din saare.
dost bane kuch pyare pyare

kitne haseen pal sangh me gujare
yaad aenge wo din saare

chahe canteen ka samosa ho
ya kisi restaurant ka dosa ho

wo college bunk hmesha karna
wo teacher ki daat se darna

wo mall me jakar masti karna
ya maggi se pet ko bharna

wo sessional me detain ho jana
ya juniors se file likhwana

wo choti si baat pe ladai ho jana
ya ho dosto me compro karwana

ye yaade hi sath nibhaengi
ye to bada staengi

bhul na jana is din ko yaaro
chalo ab jor se TAALI maro.

jeewan mela bada jhamela..... :)

jeewan mela bada jhamela..
sukh dukh ka bas chalta khela...
sukh k badal jab ate dukh k kuch bunde bhi late

sukh dukh h parchai ki bhati
ye dono jeewan k sathi
dukh to humko bada rulati...
par sukh b h hume kam na hasati

ye sikke k do pehlu jaise
dukh ho to sukh ae na kaise
sab moh maya na kuch aur hai sathi
ye humko jina sikhlati.

Tuesday, 10 May 2011

shaadi......!!!!!!!!!

shaadi do jivan ka sangam....
shaadi to sangeet hai...
shadi bin jivan hai aadha..
shadi vidhi ki reet hai....

shadi do pariwar ko jode
ye khushiyo ki kyari hai
shadi jivan ka arth badal de
iski smaran matr hi pyari hai

shadi bada pavitra bandhan hai
shadi ek naya jivan hai
shadi ka ehsas suhana...
hai is satya ko sabne mana.





pagli ladki....

sama badi suhani thi...
raate bhi mastani thi....
sundar thi ankhe bhi uski 
chaa  badi mastani thi...

sab kehte the pagli usko...
kyuki vo sabse bagani thi...
sach me wo sabse sayani thi 
kyuki duniya se anjani thi...

na tha kuch khone se darna...
na hi tha ghut ghut k marna...
paap punya se na koi matlab...
na kisi insan se darna...

na tha rishte naato ka bandhan...
na hi swarth bhara ye jeewan..
na koi paise ka jhagda....
na kisi se koi bhi lafda....

wo thi khush kismat na ki koi pagli

pagal to hum sab h sathi...
jhulas rhe hai hum khud me hi...
tap rhe dekh duje ki khyati.....
.